Phir Saje Bazm-e-tarab Zulf Khule Shana Chale
phir saje bazm-e-tarab zulf khule shana chale
phir wahi silisla-e-shoKHi-e-rindana chale
phir ye yakjai-e-yaran-e-chaman ho ki na ho
der tak aaj zara bazm mein paimana chale
phir koi qais ho aawara-e-sahra-e-junun
phir kisi gesu-e-shab-rang ka afsana chale
hum wo bad-mast-e-junun hain jo sar-e-rah-e-hayat
kabhi ba-hosh kabhi hosh se begana chale
hum ne chaha to na tha un se ulajhna lekin
is ko kya kahiye wo har chaal harifana chale
waqt badla hai to phir kyun na ba-andaz-e-digar
wahi tahrik-e-shikast-e-KHum-o-KHum-KHan chale
(810) Peoples Rate This