Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_544220935f228d68f97a7c8fdfe341d0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Kisi Se Kisi Baat Ka Gila Hi Nahin - Hasan Aabid Poetry In English - Darsaal

Mujhe Kisi Se Kisi Baat Ka Gila Hi Nahin

mujhe kisi se kisi baat ka gila hi nahin

ki apne dil ke siwa koi muddaa hi nahin

tera karam mere din kulfaton ke yun guzre

mujhe laga ki mere sath kuchh hua hi nahin

lahuluhan ho dil ya qalam ho sar jaana

teri gali ke siwa koi rasta hi nahin

ki jis mein phul khilen aur chaman mahak uThe

ye wo sahar hi nahin hai ye wo hawa hi nahin

hai KHush-mizaj magar dil ki baat kaise karen

ki ek pal ko sahi wo kabhi khula hi nahin

ajab hain ishq ki nazuk-mizajiyan yani

bujha charagh-e-mohabbat to phir jala hi nahin

ye kya jagah hai koi sun nahin raha aawaz

pukarta hun magar koi bolta hi nahin

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Kisi Se Kisi Baat Ka Gila Hi Nahin In English By Famous Poet Hasan Aabid. Mujhe Kisi Se Kisi Baat Ka Gila Hi Nahin is written by Hasan Aabid. Read famous Poem Mujhe Kisi Se Kisi Baat Ka Gila Hi Nahin for youth and Student by Hasan Aabid. Free Download Mujhe Kisi Se Kisi Baat Ka Gila Hi Nahin in PDF.