KHud Ko Pane Ki Justuju Hai Wahi
KHud ko pane ki justuju hai wahi
us se milne ki aarzu hai wahi
us ka chehra usi ke KHadd-o-KHal
apna mauzu-e-guftugu hai wahi
hain usi ke ye rang-ha-e-suKHan
mere pahlu mein KHub-ru hai wahi
kitne mausam badal gae lekin
dil wahi dil ki aarzu hai wahi
hai wahi shauq-e-chaak-damani
aur phir KHwahish-e-rafu hai wahi
sajda-bazan-e-shahr painda
dast-e-azar ki aabru hai wahi
KHu-e-taslim sar salamat-baad
bandagi tauq-e-dar-gulu hai wahi
kam nahin shor-e-nala-o-fariyaad
matam-e-shahr aarzu hai wahi
(899) Peoples Rate This