Husn-e-muKHtar Sahi Ishq Bhi Majbur Nahin
husn-e-muKHtar sahi ishq bhi majbur nahin
ye jafaon pe jafa ab mujhe manzur nahin
zulf-e-zanjir sahi dil bhi giraftar magar
main tere halqa-e-adab ka mahsur nahin
dil ka sauda hai jo paT jae to behtar warna
main bhi majbur nahin aap bhi majbur nahin
daman-e-dil se ye begana-rawi itna gurez
tum to ek phul ho kanTon ka bhi dastur nahin
chand jam aur ki maiKHana-e-jaan tak pahunchen
DhunDne wale mujhe mujh se bahut dur nahin
sab libason mein hain poshida gunahon ki tarah
dil-e-bebak bhi mahfil ke tain aur nahin
har suKHan hosh ka hai mufti-e-hairan ke sath
sab piye baiThe hain aur koi bhi maKHmur nahin
sab rasan-basta-e-azadi-e-iman hue
ab koi mere siwa banda-e-majbur nahin
us se mil kar bhi udas us ki judai bhi garan
dil ba-har-haal kisi taur bhi masrur nahin
(913) Peoples Rate This