Gul Hue Chaak-gareban Sar-e-gulzar Ai Dil
gul hue chaak-gareban sar-e-gulzar ai dil
ban gaya rang-e-chaman bais-e-azar ai dil
shama-ru ho gae fanus-e-haram ke qaidi
ab kahan raushni-e-garmi-e-bazar ai dil
silsila aatish-e-sozan ka hai darpesh junun
ab na diwar na hai saya-e-diwar ai dil
shisha-e-KHwab jo TuTa to wo aasar gae
chashm-e-bedar bhi hai nargis-e-bimar ai dil
halqa-e-did mein hai paikar-e-manzar bhi asir
hum hue apni hi aankhon ke giraftar ai dil
jalwa-e-husn-e-tamanna hai unhen aks-e-jamal
jo sarabon mein hain sahra ke giraftar ai dil
ras aai hamein shab-gardi-o-be-rah-rawi
KHub aazad hue tere giraftar ai dil
sham ke sae lapakte chale aate hain so ab
jo bhi kuchh hai wo hai girti hui diwar ai dil
(942) Peoples Rate This