Ehtiyat Ai Dil-e-nadan Wo Zamane Na Rahe
ehtiyat ai dil-e-nadan wo zamane na rahe
tere ushshaq tere chahne wale na rahe
jin se qaem thi teri shoKH-nigahi ki ada
rang-e-mahfil wo junun-KHez ishaare na rahe
ai gul-e-shoKH-ada tujh ko KHabar hai ki nahin
jo muhafiz the tere ab wahi kanTe na rahe
hum jinhen ham-safar-e-rah-e-wafa jaante the
kya bataen ki wahi log hamare na rahe
subh se sham talak barish-e-anwar rahi
raat aai to in aankhon mein sitare na rahe
(954) Peoples Rate This