Kya Kahiye
chae ki mez se lag kar main khaDa tha KHamosh
wo samoson se bhari plate liye pas aai
aur pucha bahut aahista se
nak ki kil ko angrezi mein kya kahte hain
umr hogi koi chaubis baras
DheDh do sal ka beTa tha bahut pyara sa
jo kabhi god mein hota to kabhi bhag ke
aangan mein chala jaata tha
nak mein baen taraf kil thi aaankhon mein chamak
aur chamak wo jo gunahon ko chhupa leti hai
kale baalon mein gundhi sham ki ranai thi
aisi ranai jo aadab bhula deti hai
zabt aur fahm ko na-waqt sula deti hai
KHun mein soi hui aag jaga deti hai
dad dena to bahut daur ki baat
ek bhi nazm tawajjoh se nahi us ne suni
hum kahin aur rahe aur wo kahin aur rahi
nak ki kil ko angrezi mein kya kahte hain
(985) Peoples Rate This