Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_112d7235f38419c813fb834257a5230a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ishq Ki Taqwim Mein - Haris Khaleeq Poetry In English - Darsaal

Ishq Ki Taqwim Mein

'mushir'-uncle! ye sab baaten adhuri hain

jo main ne aap se ki thin

jo mujh se aap ne ki hain

magar chaliye

abhi to jin ki botal

aur aadhi sham baqi hai

ye baaten phir se karte hain

'mushir'-uncle! zamana ishq se baDh kar nahi hai

jo kahe jo kuchh kare

jo bhi dikhae

ishq se baDh kar nahi hai

ishq to KHud ek zamana hai

ye pura ahd hai

ek daur hai

is daur mein kya kya nahi hota

kabhi ye daur daur-e-ibtila hai

aur kabhi ek sarKHushi

waraftagi ka ahd-e-paiham hai

'mushir'-uncle! kabhi mahbub ka jab nam aa jae

to meri sans ki Dori mein

girhen paDne lagti hain

ye main aur aap donon jaante hain

jis tarah jadu hai bar-haq

ishq bar-haq hai

zaminon aasmanon

is jahan, baqi jahanon mein

zaman-e-ishq bar-haq hai

'mushir'-uncle hamare pas do hi raste hain

masala ye hai

ki donon raste ab

ek hi jaanib se aate

ek hi jaanib ko jate hain

ki main aur aap donon jaante hain

jis tarah jadu hai bar-haq

ishq bar-haq hai!

(1139) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ki Taqwim Mein In English By Famous Poet Haris Khaleeq. Ishq Ki Taqwim Mein is written by Haris Khaleeq. Read famous Poem Ishq Ki Taqwim Mein for youth and Student by Haris Khaleeq. Free Download Ishq Ki Taqwim Mein in PDF.