Iltija
ye aurat hai
ise tum sat pardon mein chhupao
ise tum bandh kar rakkho
ye bakri se zyaada qimti hai
ki bakri dudh deti hai
magar jab kaT kar kha lo
to phir kuchh bhi nahi rahta
ye aurat hai use kachcha chaba lo
phir bhi ye zinda rahegi
aur tumhaare kaam aaegi
tum is ke zehn o dil par
aur is ke jism ke
ek ek hisse par
KHala mein palne wale KHauf ka
pahra biTha do
ye man ho ya bahan
biwi ho mahbuba ho beTi ho
tumhaari KHadima ho ya tawaif ho
tumhaare kaam aaegi
main ek aasi
bahut nachiz banda hun
meri ek iltija hai
ki jab us din
ghani daDhi ka ek ek baal gin kar
tumhein huren milengi
to un huron ke sadqe mein
zamin par basne wali
is haqir aurat ki sab kamzoriyan
sari KHataen maf kar dena
ise bhi baKHshwa dena
(1084) Peoples Rate This