Zindagi Ab Rahe KHata Kab Tak
zindagi ab rahe KHata kab tak
jurm ki barha saza kab tak
naKHuda hun main apni kashti ka
ye KHudaon ka silsila kab tak
apni pathra gai hain aankhen bhi
husn parda uThaega kab tak
kaun pakDega bhagte sae
kaun dekhega rasta kab tak
ghaaliban aur shahrahen hain
ek hi band rasta kab tak
aadmi aadmi ka dushman hai
jaane ho mehrban KHuda kab tak
be-sabab phir rahe hain muddat se
kijiye waqt ka gila kab tak
kaam apna 'hari' parastish hai
be-asar phir rahe dua kab tak
(713) Peoples Rate This