Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_294de38dc865b936ebbf151942ce98e6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shabab Aaya Kisi But Par Fida Hone Ka Waqt Aaya - Hari Chand Akhtar Poetry In English - Darsaal

Shabab Aaya Kisi But Par Fida Hone Ka Waqt Aaya

shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya

meri duniya mein bande ke KHuda hone ka waqt aaya

unhen dekha to zahid ne kaha iman ki ye hai

ki ab insan ko sajda rawa hone ka waqt aaya

KHuda jaane ye hai auj-e-yaqin ya pasti-e-himmat

KHuda se kah raha hun na-KHuda hone ka waqt aaya

hamein bhi aa paDa hai doston se kaam kuchh yani

hamare doston ke be-wafa hone ka waqt aaya

nawed-e-sar-bulandi di munajjim ne to main samjha

sagan-e-dahr ke aage KHuda hone ka waqt aaya

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shabab Aaya Kisi But Par Fida Hone Ka Waqt Aaya In English By Famous Poet Hari Chand Akhtar. Shabab Aaya Kisi But Par Fida Hone Ka Waqt Aaya is written by Hari Chand Akhtar. Read famous Poem Shabab Aaya Kisi But Par Fida Hone Ka Waqt Aaya for youth and Student by Hari Chand Akhtar. Free Download Shabab Aaya Kisi But Par Fida Hone Ka Waqt Aaya in PDF.