Sair-e-duniya Se Gharaz Thi Mahw-e-duniya Kar Diya
sair-e-duniya se gharaz thi mahw-e-duniya kar diya
main ne kya chaha mere allah ne kya kar diya
rokne wala na tha koi KHuda ko is liye
jo kuchh aaya us ke ji mein be-muhaba kar diya
han isi kam-baKHt dil ne kar diya ifsha-e-raaz
han isi kam-baKHt dil ne mujh ko ruswa kar diya
ishq ja in teri baaton mein nahin aane ke hum
achchhe achchhon ko jahan mein tu ne ruswa kar diya
zindagi baiThi thi apne husn par bhuli hui
maut ne aate hi sara rang phika kar diya
husn ne pahle to sab mujh par haqiqat khol di
aur phir KHamosh rahne ka ishaara kar diya
husn ko pahna chuke jab KHud-numai ka libas
ishq ne sar piT kar puchha ki ye kya kar diya
(1065) Peoples Rate This