Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c4644db23f987f69e9269fe1826f4aef, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kaliyon Ka Tabassum Ho, Ki Tum Ho Ki Saba Ho - Hari Chand Akhtar Poetry In English - Darsaal

Kaliyon Ka Tabassum Ho, Ki Tum Ho Ki Saba Ho

kaliyon ka tabassum ho, ki tum ho ki saba ho

is raat ke sannaTe mein, koi to sada ho

yun jism mahakta hai hawa-e-gul-e-tar se!

jaise koi pahlu se abhi uTh ke gaya ho

duniya hama-tan-gosh hai, aahista se bolo

kuchh aur qarib aao, koi sun na raha ho

ye rang, ye andaz-e-nawazish to wahi hai

shayad ki kahin pahle bhi tu mujh se mila ho

yun raat ko hota hai guman dil ki sada par

jaise koi diwar se sar phoD raha ho

duniya ko KHabar kya hai mere zauq-e-nazar ki

tum mere liye rang ho, KHushbu ho, ziya ho

yun teri nigahon mein asar DhunD raha hun

jaise ki tujhe dal ke dhaDakne ka pata ho

is darja mohabbat mein taghaful nahin achchha

hum bhi jo kabhi tum se gurezan hon to kya ho

hum KHak ke zarron mein hain 'aKHtar' bhi, guhar bhi

tum baam-e-falak se, kabhi utro to pata ho

(2779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaliyon Ka Tabassum Ho, Ki Tum Ho Ki Saba Ho In English By Famous Poet Hari Chand Akhtar. Kaliyon Ka Tabassum Ho, Ki Tum Ho Ki Saba Ho is written by Hari Chand Akhtar. Read famous Poem Kaliyon Ka Tabassum Ho, Ki Tum Ho Ki Saba Ho for youth and Student by Hari Chand Akhtar. Free Download Kaliyon Ka Tabassum Ho, Ki Tum Ho Ki Saba Ho in PDF.