Jis Zamin Par Tera Naqsh-e-kaf-e-pa Hota Hai
jis zamin par tera naqsh-e-kaf-e-pa hota hai
ek ek zarra wahan qibla-numa hota hai
kash wo dil pe rakhe hath aur itna puchhe
kyun taDap uThta hai kya baat hai kya hota hai
bazm-e-dushman hai KHuda ke liye aaram se baiTh
bar bar ai dil-e-nadan tujhe kya hota hai
meri surat meri haalat meri rangat dekhi
aap ne dekh liya ishq mein kya hota hai
ai saba KHar-e-mughilan ko suna de muzhda
aazim-e-dasht koi aabla-pa hota hai
hum jo kahte hain hamesha hi ghalat kahte hain
aap ka hukm durust aur baja hota hai
(976) Peoples Rate This