Jama Hain Sare Musafir Na-KHuda-e-dil Ke Pas
jama hain sare musafir na-KHuda-e-dil ke pas
kashti-e-hasti nazar aati hai ab sahil ke pas
sarban kis justuju mein hai yahan majnun kahan
ab bagula bhi na bhaTkega tere mahmil ke pas
ibtida-e-ishq yani ek mohlik hadsa
aa gai hasti yakayak maut ki manzil ke pas
neamaton ko dekhta hai aur hans deta hai dil
mahw-e-hairat hun ki aaKHir kya hai mere dil ke pas
ye tere dast-e-karam ko khinch lega ek din
ai KHuda rahne na de dast-e-dua sail ke pas
(985) Peoples Rate This