Gadhon Ka Challenge
jo rahbar-e-aqwam se mausum gadhe hain
kam-baKHt wo paidaeshi mazlum gadhe hain
aasaish-o-aram se mahrum gadhe hain
public ki tarah jitne bhi masum gadhe hain
izzat hai gadhon ki na Thikana hai gadhon ka
leader yahi kahta hai zamana hai gadhon ka
fitrat sag-e-KHun-KHwar ki insan mein aai
ghairon se mohabbat hai to apno se laDai
KHu-e-KHar-e-mazlum bashar ne nahin pai
karta hai musalman ki musalman piTai
muslim ki tarah koi bhi nadan nahin hai
sad-shukr ki KHar ek bhi musalman nahin hai
hum ghas ka shikwa na talab dal karenge
aawaz mein paida naya sur-tal karenge
mil-jul ke gadhe zulm ko pamal karenge
insan ki baqa ke liye haDtal karenge
ai rahbaro chain se jine nahin denge
insan ka lahu aap ko pine nahin denge
leader hai wo ghunDon ko jo sardar banae
insan ke dimaghon ko sharar-bar banae
kursi ke liye maut ke kirdar banae
marne ke liye itemi hathiyar banae
golon se bhara ek bhi sanduq nahin hai
hathon mein gadhon ke koi banduq nahin hai
aalat-e-jadal aap ne ijad kiye hain
paida bhi nae tarz ke jallad kiye hain
kuchh jel se qazzaq bhi aazad kiye hain
viran makan shahr bhi barbaad kiye hain
panw kisi leader ka na denge gadhe jamne
jis rose siyasat mein qadam rakh diya hum ne
(709) Peoples Rate This