Sukun
ek tawil umr
tum aur main
apne apne gharon mein band the
jahan zindagi ne kaDe pahre laga rakkhe the
usulon ke rishton ke aur faraez ke
is tamam muddat mein
jo shayad sattarah baras thi ya sattar
ek dusre ki sans ki aawaz ne
hamein tapish di
aawaz jo bahut halki bahut maddham thi
tapish jo dur thartharaati lau se bhi mulaem
aur ek din
sanson ki tapish
aur thartharaati lau ki aag mein
zindagi ke sare pahre mom ki tarah pighal gae
viran ghar mein gulab ke rang
aur motiya ki KHushbu ka iztirab bikhar gaya
jis ne hamari pur-sukun KHamoshi
ko reza reza kar diya
aao aaj phir hum
tum aur main
apne pairon ke ird-gird
halki halki lakiron ke daere khinche len
ye lakiren shayad kabhi diwar ban jaen
aur hum phir apne apne gharon mein
sukun ki nind so sakin
(1652) Peoples Rate This