Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1ebe855fd85300fa9a5e88786071c406, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Kya KHabar Thi Ki Jab Tum Se Dosti Hogi - Harbans Lal Aneja 'jamaal' Poetry In English - Darsaal

Ye Kya KHabar Thi Ki Jab Tum Se Dosti Hogi

ye kya KHabar thi ki jab tum se dosti hogi

qadam qadam pe qayamat si ek khaDi hogi

wahan pe gunjti hogi KHushi ki shahnai

yahan to mayyat-e-arman uTh rahi hogi

jo be-KHabar hai abhi tak KHud apni manzil se

to aise KHizr se kis tarah rahbari hogi

bana ke KHak se KHud KHak mein mila dena

ilahi teri shariat mein kuchh kami hogi

shab-e-firaq raqib aa ke de mujhe taskin

qasam KHuda ki ye sazish bhi aap ki hogi

jigar ke KHun se tar ho na jis ka sher koi

phir us ghazal mein bhala KHak dilkashi hogi

'jamal' chhuT hi jaega zabt ka daman

kamal-e-jaur mein un ke agar kami hogi

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kya KHabar Thi Ki Jab Tum Se Dosti Hogi In English By Famous Poet Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Ye Kya KHabar Thi Ki Jab Tum Se Dosti Hogi is written by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Read famous Poem Ye Kya KHabar Thi Ki Jab Tum Se Dosti Hogi for youth and Student by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Free Download Ye Kya KHabar Thi Ki Jab Tum Se Dosti Hogi in PDF.