Tum Aae Jab Nahin Nakaam LauT Jaane Ko
tum aae jab nahin nakaam lauT jaane ko
to aao KHak karo dil ke aashiyane ko
bujha bujha sa hai kyun aaj udas udas hai dil
hai koi koh-e-alam aur TuT jaane ko
hai aarzu-e-dil-e-sogwar likhta rahun
tamam umr tere ishq ke fasane ko
bashar ki tang-dili is se baDh ke kya hogi
qafas samajhta rahe apne aashiyane ko
ye sher-o-fan ye mai-o-naghma ye shabab-o-rabab
ye baKHshishen hain gham-e-zindagi bhulane ko
dahan dahan ye udasi nazar nazar ye malal
ilahi kaun sa gham Das gaya zamane ko
'jamal' aur bhi sulga gaya ye aatish-e-gham
uThaya jam jo dil ki lagi bujhane ko
(745) Peoples Rate This