Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cc3a03a893d9cc716b1b7339118c0725, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Unki Yaad Ke Dipak Jalae Hain Maine - Harbans Lal Aneja 'jamaal' Poetry In English - Darsaal

Phir Unki Yaad Ke Dipak Jalae Hain Maine

phir un ki yaad ke dipak jalae hain main ne

ki KHufta hasrat-o-arman jagae hain main ne

zamana jin ke tasawwur se hi laraz uTThe

qalil umr mein wo gham uThae hain main ne

gham-o-alam ke samundar mein Dub kar aksar

nashat-o-aish ke naghmat gae hain main ne

nahin nahin hai nahin qabil-e-yaqi۔n koi

KHuda ke bande bahut aazmae hain main ne

hua hai aaj ye ek lamha-e-tarab hasil

wagarna aansu hi aansu bahae hain main ne

'jamal' talKH tajrabaat bughz-o-nafrat se

tarane mehr-o-wafa ke sunae hain main ne

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Unki Yaad Ke Dipak Jalae Hain Maine In English By Famous Poet Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Phir Unki Yaad Ke Dipak Jalae Hain Maine is written by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Read famous Poem Phir Unki Yaad Ke Dipak Jalae Hain Maine for youth and Student by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Free Download Phir Unki Yaad Ke Dipak Jalae Hain Maine in PDF.