Kaun Hai Jo Na Hua Bandish-e-gham Se Aazad
kaun hai jo na hua bandish-e-gham se aazad
juz mere kaun raha dahr mein nakaam-e-murad
saunp dun kyun na ba-daman-e-talatum kashti
kis ki kab sunte hain be-rahm kinare fariyaad
mujh se mat chhin ye jagir-e-gham-o-ranj nadim
hai faqat is se hi kaunain-e-dil-o-jaan aabaad
dil ke gulzar mein khil uThti hai daghon ki kali
jab bhi aati hai kisi gul-ruKH-o-gul-fam ki yaad
ab na mazi hi ka gham hai na to farda ki KHushi
KHana-e-dil ko kiya tum ne kuchh aisa barbaad
ek lamha bhi masarrat ka mayassar na hua
jaane kis waqt mohabbat ki rakhi thi buniyaad
gham ghalat karne ko aaya tha tere dar pe 'jamal'
kya KHabar thi ki nahin tu bhi ghamon se aazad
(726) Peoples Rate This