Faiz-e-dil Se Mutrib-e-kaamil Hua Jata Hun Main
faiz-e-dil se mutrib-e-kaamil hua jata hun main
bais-e-rangini-e-mahfil hua jata hun main
kis liye ye shikwa-e-mahrumi-e-kaif-o-nishat
KHugar-e-alam KHud ai dil hua jata hun main
is qadar maKHmur hun teri nigah-e-mast se
chah mein manzil ki KHud manzil hua jata hun main
bahr-e-hasti mein maza dene lage tufan bhi ab
ai nadim aasuda-e-sahil hua jata hun main
be-sada se ho gae ham-saz sab tar-e-nafas
uf shikasta sa rabab-e-dil hua jata hun main
ahl-e-fan ahl-e-hunar dil khol kar dete hain dad
mahir-e-fan shair-e-kaamil hua jata hun main
ai 'jamal' aapas mein kya aql-o-junun ka rabt hai
jam-e-wahshat pi ke bhi aaqil hua jata hun main
(820) Peoples Rate This