Ashkon Ka Meri Aankh Se Paigham Na Aae
ashkon ka meri aankh se paigham na aae
ilzam ye ai dost tere nam na aae
kya kijiye darman-e-mariz-e-gham-e-ulfat
jab koi dawa aur dua kaam na aae
phir majma-e-aghyar tah-e-baam khaDa hai
us shoKH se kah do ki lab-e-baam na aae
afsana mera zeb-e-lab-e-bulbul-o-gul hai
Darta hun kahin aap pe ilzam na aae
kya dard ke maron pe wo karte hain inayat
aisa hai to ai dil mujhe aaram na aae
ai saqi-e-mai-KHana tere daur mein ye kya
tarsa karen hum aur koi jam na aae
ek bar utar jae jo saqi ki nazar se
ta-umr 'jamal' us ki taraf jam na aae
(855) Peoples Rate This