Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a0d89c21a38c81f4fa5ec05fe9255e4f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahaar Aai Hai Sadme Se Hamara Haal Abtar Hai - Haqeer Poetry In English - Darsaal

Bahaar Aai Hai Sadme Se Hamara Haal Abtar Hai

bahaar aai hai sadme se hamara haal abtar hai

ghaTa ghanghor chhai hai na saqi hai na saghar hai

nishan kya puchhte hain aap hum KHana-ba-doshon ka

kabhi gulshan mein maskan hai kabhi sahra mein bistar hai

haqarat ki nigahon se na farsh-e-KHak ko dekho

amiron ka faqiron ka yahi aaKHir ko bistar hai

'haqir' ek KHwab tha jo aap ne dekha tha london mein

na wo saman hai baqi na ab pahlu mein dilbar hai

(1174) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar Aai Hai Sadme Se Hamara Haal Abtar Hai In English By Famous Poet Haqeer. Bahaar Aai Hai Sadme Se Hamara Haal Abtar Hai is written by Haqeer. Read famous Poem Bahaar Aai Hai Sadme Se Hamara Haal Abtar Hai for youth and Student by Haqeer. Free Download Bahaar Aai Hai Sadme Se Hamara Haal Abtar Hai in PDF.