Ai Yas Jo Tu Dil Mein Aai Sab Kuchh Hua Par Kuchh Bhi Na Hua
ai yas jo tu dil mein aai sab kuchh hua par kuchh bhi na hua
yan ho gai KHana-virani aur tera zarar kuchh bhi na hua
tha qasd ki un ko rokengi shab guzri inhin andeshon mein
par hae-re nakaami dil ki hangam-e-sahar kuchh bhi na hua
ehsan tera mujh par hota gar ruh ko karta tan se juda
jab jaan bachi furqat ki shab ai dard-e-jigar kuchh bhi na hua
ai kash wo baaten ki hotin jo wahshat-e-dil ko kam kartin
itna jo baka to ai naseh mujh ko to asar kuchh bhi na hua
ab chahiye aisi fikr tujhe jis se ki nazare ki Thahre
har waqt ke rone se hasil ai dida-e-tar kuchh bhi na hua
dil aur jigar jaan aur ye sar hum shauq se lae pas tere
qismat ka gila ab kis se karen manzur-e-nazar kuchh bhi na hua
ya us se jawab-e-KHat lana ya qasid itna kah dena
bachne ka nahin bimar tera irshad agar kuchh bhi na hua
dhun wasl ki tujh par ghaalib hai tu aish-o-tarab ka talib hai
kya lutf 'haqir' is ulfat ka betab agar kuchh bhi na hua
(823) Peoples Rate This