TaKHliq-e-be-sabaat Ka Zarra-nazir Hun
taKHliq-e-be-sabaat ka zarra-nazir hun
sahil ki ret par koi likkhi lakir hun
gardish hai zindagi meri manzil-rasa nahin
masruf-e-kar-koh-kan ek ju-e-shir hun
mal-o-mata-o-sarwat-e-jaan kuchh mera nahin
han gardish-e-zaman ne dikhaya faqir hun
zindan-e-dahr hai mujhe ek qasr-e-dil-fareb
apni hi KHwahishat ka aisa asir hun
jitna nikalna chaha tha utna ulajh gaya
girdab-e-zindagi ka main yun pa-e-gir hun
mujh se jahan mein aae aur aa kar chale gae
phir kyun samajh raha hun ki main be-nazir hun
achchha hua ki yaad tu aaya hai aaKHirash
is be-KHudi mein bhul gaya tha 'haqir' hun
(850) Peoples Rate This