Said Ko Rashk-e-chaman Dam Ne Rahne Na Diya
said ko rashk-e-chaman dam ne rahne na diya
naghma-KHwan qiad-e-bad-anjam ne rahne na diya
apne sae ke taaqub mein rahe the din-bhar
wo bhi ab tirgi-e-sham ne rahne na diya
kuchh mere dil ka sukun nazr-e-gham-e-yar hua
jo bacha gardish-e-ayyam ne rahne na diya
main ne kab ki hain kisi ghair se dil ki baaten
raaz ko raaz dar-o-baam ne rahne na diya
umr-bhar chain se mujh ko kabhi ek lamha mere
us dal-e-tishna-e-lab-e-kaam ne rahne na diya
teri furqat mein kisi taur bhi rah lete magar
ghair ke sath tere nam ne rahne na diya
jaan se guzrin hain pa gham hai to usi baat ka hai
mujh ko mere hi KHush-andam ne rahne na diya
KHud tera aks kahin tujh ko pareshan na kare
sach ka aaina tere samne rahne na diya
ham-nafas us ka mujhe aur mujhe us ka 'haqir'
dil mein palte hue auham ne rahne na diya
(750) Peoples Rate This