Ab Kis Ki Justuju Ho Teri Justuju Ke Baad
ab kis ki justuju ho teri justuju ke baad
jachta nahin hai koi teri aarzu ke baad
tark-e-wafa ke baad hai tajdid-e-iltifat
misl-e-libas-e-kohna jo pahna rafu ke baad
karte hain bahki bahki si baaten janab-e-shaiKH
aate hain aap hosh mein sarf-e-subu ke baad
lazim nahin ki jang-o-jadal se hi kaam len
ho jae masalon ka jo hal guftugu ke baad
dil apna hi raqib yun hone laga 'haqir'
koi shaqi kabhi na raha us adu ke baad
(1004) Peoples Rate This