Rang Ye Hai Ab Hamare Ishq Ki Tasir Ka
rang ye hai ab hamare ishq ki tasir ka
husn aaina bana hai dard ki taswir ka
ek arsa ho gaya farhad ko guzre hue
aao phir taza karen afsana ju-e-shir ka
gulsitan ka zarra zarra jag uThe andalib
lutf hai is waqt tere nala-e-shab-gir ka
lijiye ai shaiKH pahle apne iman ki KHabar
dijiye phir shauq se fatwa meri takfir ka
KHwab-e-hasti ko samajhne ke liye bechain hun
e'tibar aata nahin mujh ko kisi tabir ka
jis ne di aaKHir ghurur-e-husn-e-yusuf ko shikast
allah allah hausla is dast-e-daman-gir ka
toD kar nikle qafas to gum thi rah-e-ashiyan
wo amal tadbir ka tha ye amal taqdir ka
go zamana ho gaya gulzar se nikle hue
hai mizaj ab tak wahi 'raihani' dil-gir ka
(825) Peoples Rate This