Har Zarra Hai Jamal Ki Duniya Liye Hue
har zarra hai jamal ki duniya liye hue
insan agar ho dida-e-bina liye hue
kaif-e-nigah sehr-e-bayan masti-e-KHiram
hum aae un ki bazm se kya kya liye hue
naqsh-o-nigar-e-dahr ki ranaiyan na puchh
dar-parda hain kisi ka sarapa liye hue
be-lag main guzar gaya har KHub o zisht se
apni nazar mein zauq-e-tamasha liye hue
rah-e-hayat mein na mila koi ham-safar
tanha chala hun nam kisi ka liye hue
barbaad-e-iltifat ki taqdir dekhna
wo aae bhi to ranjish be-ja liye hue
hasti ke hadson ke muqabil DaTa raha
main un ki ek nazar ka sahaara liye hue
'raihani'-e-hazin hai KHizan mein ghazal-sara
rangni-e-bahaar ka sauda liye hue
(827) Peoples Rate This