Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_44117418a291777fc1a7d4fb5d2065ee, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Un Ke Aane Pe Dil Fida Hoga - Hans Raj Sachdev 'hazii.n' Poetry In English - Darsaal

Un Ke Aane Pe Dil Fida Hoga

un ke aane pe dil fida hoga

un ke jaane pe jaane kya hoga

ek manzil hai go meri un ki

rasta lekin juda juda hoga

un ke lab par kabhi to bhule se

nam mera bhi aa gaya hoga

tauba kar li bhari jawani mein

koi mujh sa bhi parsa hoga

meri kashti ko naKHuda ka nahin

tund-maujon ka aasra hoga

bhul jaane ki Than li hai magar

kab KHayalon se wo juda hoga

aaj maqtal mein waqt-e-qatl 'hazin'

shoKH qatil bhi ro diya hoga

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ke Aane Pe Dil Fida Hoga In English By Famous Poet Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Un Ke Aane Pe Dil Fida Hoga is written by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Read famous Poem Un Ke Aane Pe Dil Fida Hoga for youth and Student by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Free Download Un Ke Aane Pe Dil Fida Hoga in PDF.