Muskura Doge To Ye Raat Sanwar Jaegi
muskura doge to ye raat sanwar jaegi
hans jo doge to faza aur nikhar jaegi
apni manzil pe pahunch jaegi betab nazar
apne markaz pe na pahunchi to kidhar jaegi
kash us husn-e-KHud-ara se koi ja ke kahe
zulf ko lakh sanware ye bikhar jaegi
muntazir sham se un ka hun magar jaanta hun
aaj ki raat bhi aankhon mein guzar jaegi
aap bhi zulf-e-pareshan ko haTa len ruKH se
mere chhune se to nagin ye biphar jaegi
haal-e-dil kyun na 'hazin' aaj gulon se kah dun
nikhat-e-gul bhi mere dost ke ghar jaegi
(789) Peoples Rate This