Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_65e12e0ed23c9ff43e55fa3d4f9b8a6c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai - Hans Raj Sachdev 'hazii.n' Poetry In English - Darsaal

KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai

KHushi gar hai to kya matam nahin hai

shagufta gul pe kya shabnam nahin hai

kiya hai yaad us ne aaj shayad

mizaj-e-zindagi barham nahin hai

kise apna kahen duniya mein yarab

koi monis koi hamdam nahin hai

tere jalwon ki jurat kaise hogi

meri aankhon mein itna dam nahin hai

nazar un ki paDi hai jab se mujh par

meri qismat mein koi gham nahin hai

KHushi ke aankh mein bhar aae aansu

wagarna chashm meri nam nahin hai

mujhe le chal 'hazin' us anjuman mein

jahan mahram hai na-mahram nahin hai

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai In English By Famous Poet Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai is written by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Read famous Poem KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai for youth and Student by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Free Download KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai in PDF.