Jab Tarsil BaTan Tak Pahunchi
kal, tera nama
jo milta tha hamein
us ke alfaz tale
muddaten, maani ki tashrihon mein
lutf ka sail-e-rawan rahta tha
raaten bistar pe
nasha KHwab ka rakh deti thin
itr mein Dubi hui dhup ki paimaish par
chandni nind, ko lori ki thapak deti thi
zehn mein subh o masa
ek ajab farhat-e-nau-rasta safar karti thi
lekin ab qurbaten hain baham
samaat ko magar
phone ki ghanTi ko sunne ko tarasti KHwahish
munqata rabita pane ke liye koshan hai
ungliyan rahti hain
ek ek button par raqsan
yahi mamul hai muddat se
magar, telephone
ek KHamosh sada deta hai
silsila lamhon ka
sadiyon sa bana deta hai
(1023) Peoples Rate This