Diwanon Ka Nam Abad Tak Hota Hai
suna hai us ne paDhte paDhte
aankhon ko hairan kiya hai
pusht se lipTe aainon ke
zangaron ka dhyan kiya hai
sadiyon par phaili, an-dekhi
raushniyon ka gyan kiya hai
pal-do-pal wishram kiya tha
suna hai us ne likhte likhte
daftar mein apne jiwan ke
din kaTe to
raaton ka wardan diya hai
gahri fikr ke moTe moTe
shishe pahan kar
lafzon mein nae mani aur mafhum samo kar
aur guman ke darwazon par
nae taur se dastak de kar
fikr ki unchai se guzar kar
baDe baDe inam hain pae
duniya ke samman uThae
lekin ab to
apne art ke taj-mahal mein
ek taswir sa laTka hua hai
(879) Peoples Rate This