Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c1415b84c1610d6281e46eb1acf7217f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uske Gulabi HonT To Ras Mein Base Lage - Hanif Tarin Poetry In English - Darsaal

Uske Gulabi HonT To Ras Mein Base Lage

us ke gulabi honT to ras mein base lage

lekin badan ke zaiqe be-kaif se lage

TuTe qadam qadam pe jo apni lachak ke sath

wo daldalon mein zat ki mujh ko phanse lage

tamsil ban gae hain samundar ki jhag ki

sahra-e-gham ki rakh mein jo bhi dhanse lage

jin ka yaqin rah-e-sukun ki asas hai

wo bhi guman-e-dasht mein mujh ko phanse lage

hum le ke be-amani ko jangal mein aa gae

dil ko jo shahr-e-KHuban mein kuchh waswase lage

(3341) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Gulabi HonT To Ras Mein Base Lage In English By Famous Poet Hanif Tarin. Uske Gulabi HonT To Ras Mein Base Lage is written by Hanif Tarin. Read famous Poem Uske Gulabi HonT To Ras Mein Base Lage for youth and Student by Hanif Tarin. Free Download Uske Gulabi HonT To Ras Mein Base Lage in PDF.