Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_925176c111852f8c2b9305896ef3576e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gardish Ki Raqabat Se JhagDe Ke Liye Tha - Hanif Tarin Poetry In English - Darsaal

Gardish Ki Raqabat Se JhagDe Ke Liye Tha

gardish ki raqabat se jhagDe ke liye tha

jo ahd mera titli pakaDne ke liye tha

jis ke liye sadiyan kai tawan mein di hain

wo lamha to miTTi mein jakaDne ke liye tha

haalat ne ki jaan ke jab dast-daraazi

har sulh ka pahlu hi jhagaDne ke liye tha

munh zoriyan kyun mujh se saza-war thin us ko

phailao jahan us ka sukaDne ke liye tha

qurban thin baalidgiyan naKHl-e-talab par

kya josh-e-numu aap ukhaDne ke liye tha

pani ne jise dhup ki miTTi se banaya

wo daera-e-rabt bigaDne ke liye tha

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gardish Ki Raqabat Se JhagDe Ke Liye Tha In English By Famous Poet Hanif Tarin. Gardish Ki Raqabat Se JhagDe Ke Liye Tha is written by Hanif Tarin. Read famous Poem Gardish Ki Raqabat Se JhagDe Ke Liye Tha for youth and Student by Hanif Tarin. Free Download Gardish Ki Raqabat Se JhagDe Ke Liye Tha in PDF.