Raat Ke Dar Pe Ye Dastak Ye Musalsal Dastak
raat ke dar pe ye dastak ye musalsal dastak
aamad-e-subh-e-farozan ka pata deti hai
phunk Dalegi ye ek roz qaba-e-sayyaad
aatish-e-gul ko saba aur hawa deti hai
tirgi-zadon se kab nur ka sailab thame
faisla waqt ka tariKH suna deti hai
aanch aati hai sitaron se jo kuchh pichhle pahar
KHwab-e-shirin se nigaron ko jaga deti hai
kitni nadida bahaaron ki tamanna-e-jawan
daman-e-jaan mein mere aag laga deti hai
sina-e-sang mein betab hai wo kawish-e-shauq
jo haqiqat ko bhi KHwabon ki ziya deti hai
sham-e-mehrab-e-wafa ban ke hayat-e-ruswa
dil-nigari ka meri kuchh to sila deti hai
(1070) Peoples Rate This