Meri Hayat Agar Muzhda-e-sahar Bhi Nahin
meri hayat agar muzhda-e-sahar bhi nahin
sitam ye hai ki tere gham ki rahguzar bhi nahin
chaman mein hon mein pareshan misl-e-mauj-e-nasim
chaTak ke ghunche kahenge hamein KHabar bhi nahin
nishat-o-kaif ke lamhon zara Thahar jao
bahaar rah mein hai dur ka safar bhi nahin
main teri jumbish-e-mizhgan se kanp jata hon
agarche dil ko gham-e-do-jahan se Dar bhi nahin
fareb-e-wada pe hum ta-abad jien lekin
hazar haif ye imkan umr bhar bhi nahin
koi to hamdam-e-derina de sada is dam
wo ajnabi hon ki manus apna ghar bhi nahin
nasim sar-ba-gareban saba hai sar-gardan
wo waqt hai koi KHushbu ka rahbar bhi nahin
zamin par hi kahin nur ka suragh lagao
sitare Dub gae charKH par qamar bhi nahin
kaTi hai aankhon hi aankhon mein sham-e-hijr magar
shab-e-daraaz-e-alam itni muKHtasar bhi nahin
kisi ki narm-nigahi ki aanch hai warna
ye dil-pazir nawa jalwa-e-hunar bhi nahin
hawa-e-sham se kitne charagh jal uTThe
dayar-e-dil mein tamanna ka ek sharar bhi nahin
na jaane kyun dar-e-zindan bhi kanp uThta hai
sada-e-'fauq' agar aisi kargar bhi nahin
(1052) Peoples Rate This