Jism-o-jaan Kis Gham Ka Gahwara Bane
jism-o-jaan kis gham ka gahwara bane
aag se nikle to angara bane
sham ki bhigi hui palkon mein phir
koi aansu aae aur tara bane
lauh-e-dil pe naqsh ab koi nahin
waqt hai aa jao shah-para bane
ab kisi lamhe ko manzil man len
dar-ba-dar phirte hain banjara bane
kam ho gar jhuTe sitaron ki numud
ye zamin bhi anjuman-ara bane
jurm-e-na-karda-gunahi hai bahut
zindagi hi kyun na kaffara bane
toD Dalen hum nizam-e-KHastagi
ye jahan kohna dobara bane
(717) Peoples Rate This