Dil-e-nadan Pe Shikayat Ka Guman Kya Hoga
dil-e-nadan pe shikayat ka guman kya hoga
chand ashkon se jafaon ka bayan kya hoga
shab ke bhaTke hue rahi ko KHabar de koi
subh-e-rangin ki bahaaron ka nishan kya hoga
nala-e-murgh-e-giraftar se be-zari kya
gosh-e-sayyaad pe ab ye bhi garan kya hoga
sach ke kahne se agar ji ka ziyan hota hai
sach bahar-haal hai sach mohr-e-dahan kya hoga
chup rahen hum to sar-e-dar pukarega lahu
chand hi roz mein aain-e-jahan kya hoga
zarre zarre pe koi phunkega afsun-e-bahaar
mana-e-josh-e-numu jaur-e-KHizan kya hoga
chashm-e-nargis ko hawas hai ki chaman mein dekhe
aatish-e-gul ke bhaDakne ka saman kya hoga
ab to hum shahr-e-nigaran se chale aae hain
bais-e-wahshat-e-dil husn-e-butan kya hoga
(1204) Peoples Rate This