Chashm-e-pur-nam Abhi Marhun-e-asar Ho Na Saki
chashm-e-pur-nam abhi marhun-e-asar ho na saki
zindagi KHak-nashinon ki basar ho na saki
mai-kade ki wahi manus faza aur dil-e-zar
ek bhi raat ba-andaz-e-digar ho na saki
gham-e-jaanan gham-e-dauran ki guzargahon se
guzre kuchh aise ki KHud apni KHabar ho na saki
dhundle dhundle nazar aate to hain qadmon ke nishan
garche pur-nur abhi rahguzar ho na saki
zindagi jam-ba-kaf aai bhi mahfil mein magar
shab ke matwalon ko taufiq-e-nazar ho na saki
kaise tabinda sitaron ka lahu jalta hai
shab-e-tarik jo unwan-e-sahar ho na saki
(808) Peoples Rate This