Aah-o-fariyaad Se Mamur Chaman Hai Ki Jo Tha

aah-o-fariyaad se mamur chaman hai ki jo tha

mail-e-jaur wahi charKH-e-kuhan hai ki jo tha

husn pabandi-e-adab-e-jafa par majbur

ishq aawara sar-e-koh-o-daman hai ki jo tha

lakh badla sahi mansur ka aain-e-hayat

aaj bhi silsila-e-dar-o-rasan hai ki jo tha

Dar ke chaunk uThti hain KHwabon se naweli kaliyan

KHanda-e-gul mein wahi saz-e-mehan hai ki jo tha

shabnam-afshani-e-gulshan hai dam-e-subh hanuz

lala-o-gul pe wo ashkon ka kafan hai ki jo tha

dil-e-be-tab pe mazi ki nawazish hai wahi

shab-e-mahtab pe yaadon ka gahan hai ki jo tha

hath rakh deta hai shane pe tasawwur un ka

gham ki raaton mein koi jalwa-figan hai ki jo tha

unhen kya fikr ki puchhen dil-e-bimar ka haal

be-niyazana wo andaz-e-suKHan hai ki jo tha

lakh badla sahi ai 'fauq' zamana lekin

tere andaz mein be-saKHta-pan hai ki jo tha

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aah-o-fariyaad Se Mamur Chaman Hai Ki Jo Tha In English By Famous Poet Hanif Fauq. Aah-o-fariyaad Se Mamur Chaman Hai Ki Jo Tha is written by Hanif Fauq. Read famous Poem Aah-o-fariyaad Se Mamur Chaman Hai Ki Jo Tha for youth and Student by Hanif Fauq. Free Download Aah-o-fariyaad Se Mamur Chaman Hai Ki Jo Tha in PDF.