Jalwa-gar Sochon Mein Hain Kuchh Aagahi Ke Aaftab
jalwa-gar sochon mein hain kuchh aagahi ke aaftab
raushni se likh raha hun zindagani ka nisab
pattharon se kab talak bandhegi ummid-e-wafa
zindagi dekhegi kab tak jagti aankhon se KHwab
kya KHabar wo kaun hain roz-e-jaza ke muntazir
chashm-e-bina ke liye har roz hai roz-e-hisab
KHak zinda gar kare husn-e-azal ki aarzu
darmiyan rahta nahin phir koi bhi tar-e-hijab
jaante hain wo husul-e-maya ki har ek sabil
hifz hain sajjadgan ko KHanqahi ke nisab
inqalab-e-subh ki kuchh kam nahin ye bhi dalil
pattharon ko de rahe hain aaine khul kar jawab
(710) Peoples Rate This