Nazar Ko Qurb-e-shanasai BanTne Wale
nazar ko qurb-e-shanasai banTne wale
kabhi to hath aa parchhai banTne wale
akela-pan dar-o-diwar se Tapakta hai
kahan gae meri tanhai banTne wale
ye munh se sukhe niwale bhi chhin lete hain
bahut gharib hain mahngai banTne wale
hamare shahr ko teri baDi zarurat hai
idhar bhi aa kabhi achchhai banTne wale
kabhi ye soch ke tere bhi apne bachche hain
hamari nasl ko nangai banTne wale
zamana kya hua ab jo nazar nahin aate
wafa ki pyar ki binai banTne wale
(1732) Peoples Rate This