Teri Talash Teri Justuju Utarti Hai
teri talash teri justuju utarti hai
mere shuur ke kaghaz pe tu utarti hai
sanwarne ke bajae sanwarne lagta hai
jab aaine ke muqabil mein tu utarti hai
tu mere nam se mansub hai zamane mein
tu kuchh kare to meri aabru utarti hai
main dil ke pak se KHane mein us ko rakhta hun
tumhaari yaad bahut ba-wazu utarti hai
main aisa rind-e-bala-nosh mai-kade ka tere
mere liye mai-e-jam-o-subu utarti hai
is liye main miyana-rawi ka qael hun
zawal se bhi bulandi ki lu utarti hai
teri sifat mein tahlil ho gaya hun main
har ek ada mein meri teri KHu utarti hai
main tang-dast kahan tak libas pahnaun
barahna jism kai aarzu utarti hai
ye nind jis ko zamana sukun samajhta hai
hamare jism pe misl-e-adu utarti hai
ye shairi ke anasir bhi qudrati hain janab
ki fikr-o-fan ki tarangon se bu utarti hai
(3843) Peoples Rate This