Kushud-e-kar Ki KHatir KHuda Badalte Rahe
kushud-e-kar ki KHatir KHuda badalte rahe
charagh-e-nazr the har aastan pe chalte rahe
faqir-e-ishq hain apna koi Thikana hai kya
hawa mein uDte rahe paniyon par chalte rahe
hum ahl-e-dil ne chhua tak nahin kabhi koi phul
hawa-parast magar toDte masalte rahe
phisal ke tum bhi abas sun gae hamare sath
hamein to yun bhi phisalna tha so phisalte rahe
na us ke lams ki garmi na us ke qurb ki aanch
tasawwur us ka tha aisa ki bas pighalte rahe
wo ek jagah na kahin rah saka aur us ke sath
kiraya-dar the hum bhi makan badalte rahe
(736) Peoples Rate This