Har Ek Kamal Ko Dekha Jo Humne Ru Ba-zawal

har ek kamal ko dekha jo hum ne ru ba-zawal

sisak ke rah gai sine mein aarzu-e-kamal

hum apni Dubti qadron ke sath Dub gae

milegi ab to kitabon mein bas hamari misal

hue ana ke dikhawe se log sar afraaz

ana ne sar ko uTha kar kiya hamein pamal

zara si umr mein kis kis ka hal talash karen

khaDe hain rasta roke hue hazar sawal

mere KHulus ka yaron ne aasra le kar

kiya hai KHub meri dosti ka istehsal

bujha bujha sa yahi dil hai is shabab ki rakh

ragon mein dauD rahi thi jo aatish-e-sayyal

mile wo lamha jise apna kah saken 'kaifi'

guzar rahe hain isi justuju mein mah-o-sal

(1340) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Kamal Ko Dekha Jo Humne Ru Ba-zawal In English By Famous Poet Haneef Kaifi. Har Ek Kamal Ko Dekha Jo Humne Ru Ba-zawal is written by Haneef Kaifi. Read famous Poem Har Ek Kamal Ko Dekha Jo Humne Ru Ba-zawal for youth and Student by Haneef Kaifi. Free Download Har Ek Kamal Ko Dekha Jo Humne Ru Ba-zawal in PDF.