Hai Rah-rau Ke Hue Hadsat Ki Diwar
hai rah-rau ke hue hadsat ki diwar
girae kaun ye gard-e-hayat ki diwar
sahar hamare muqaddar se dur hoti gai
buland hoti gai roz raat ki diwar
miTe jo ye hadd-e-fasil to aap tak pahunchen
hamare bich mein hail hai zat ki diwar
ana ana ke muqabil hai rah kaise khule
talluqat mein hail hai baat ki diwar
na jaane kaun se jhonke mein gir paDe 'kaifi'
shikasta hone lagi hai hayat ki diwar
(1026) Peoples Rate This