Abhi Na Jao Abhi Raste Saje Bhi Nahin
abhi na jao abhi raste saje bhi nahin
abhi charagh sar-e-kahkashan jale bhi nahin
jabin-e-charKH pe gulguna-e-shafaq mal kar
abhi to sham ke sae kahin gae bhi nahin
abhi abhi to jamai hai main ne bazm-e-KHayal
abhi ufuq-ba-ufuq baam-o-dar saje bhi nahin
urus-e-shab ne abhi chandni utari hai
abhi to gesu-e-shab Thik se khule bhi nahin
abhi se tark-e-talluq ke mashware to na do
abhi to yaadon ke sare diye bujhe bhi nahin
mere safar mein sitare the bas sharik-e-safar
ye rah-rau to meri rah-guzar ke the bhi nahin
(1015) Peoples Rate This